Zaroori Tha | Rahat Fateh Ali Khan


Lyrics


Lafz kitne hi tere pairon se lipte honge
Tune jab aakhiri khat mera jalaya... hoga
Tune jab phool, kitabon se nikaale honge
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga


Teri aankhon ke dariya ka

utarna bhi zaroori tha

Mohabbat bhi zaroori thi

Bichadna bhi zaroori tha

Zuroori tha ki

Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte

Magar phir aarzu'on ka
bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
utarna bhi zaroori tha



Bataao yaad hai tumko

Woh jab dil ko churaya tha

Churaai cheez ko tumne

Khuda ka ghar banaya tha

Woh jab kehte thhe

Mera naam tum tasbih mein padhte ho

Mohabbat ki Namaazo ko
qara karne se darte ho
Magar ab yaad aata hai
Woh baatein thi mahaz baatein
Kahin baaton hi baaton mein
Mukarna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha



Wahi hai sooratein apni

Wahi main hoon, wahi tum ho

Magar khoya huaa hoon main

Magar tum bhi kahin gum ho

Mohabbat mein dagha ki thi

So kaafir the so kaafir hain

Mili hain manzilein phir bhi
Musaafir thhe, musaafir hain
Tere dil ke nikaale hum
Kahaan bhatke, kahaan pahunche
Magar bhatke toh yaad aaya
Bhatakna bhi zaroori tha
Mohabbat bhi zaroori thi
Bichhadna bhi zaroori tha
Zaroori tha ki
Hum dono tawaaf-e-aarzoo karte
Magar phir aarzu'on ka
Bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka
Utarna bhi zaroori tha




Thank you for your comment